Xiaomi ne aaj Redmi 4A ko India mein Rs. 5,999 par launch kiya hai. Saath saath company launch event mein announce kiya hai Xiaomi Redmi 3S ka successor jaldi hi India mein launch hoga.
Haalaki company ne abhi device ka name toh nahi bataya hai but definately yeh Xiaomi Redmi 4X hone wala hai.
Contents
Xiaomi Redmi 4X will be successor of Redmi 3S
Xiaomi ne abhi tak China mein Redmi 4 franchisee ke under Redmi 4A, Redmi 4, Redmi 4 Prime, Redmi Note 4 and Redmi 4X ko launch kiya hai. India mein Xiaomi Redmi Note 4 and Redmi 4A already launch ho gye hai. Baaki bache Redmi 4, 4 Prime and 4X.
Redmi 4 ke China variant mein Snapdragon 430 processor diya gya hai jo already Indian Redmi 3S mein present hai. Wahi Xiaomi ke Redmi 4 Prime ke China version mein Snapdragon 625 chipset hai jo already India mein mil rahe Xiaomi Redmi Note 4 mein hai. Isliye yeh dono smartphones India mein nahi aa sakte!
Ab sirf Xiaomi Redmi 4X hi bachta hai jis mein Snapdragon 435 processor diya gya hai.
Xiaomi Redmi 4X Specifications
Redmi 4X mein 5-inch ka 2.5D curved HD display diya gya hai. Under the hood aapko octa-core Snapdragon 435 processor milta hai. China mein yeh device ko two storage variants, 2GB RAM with 16GB internal storage and 3GB RAM with 32GB storage option mein available hai. Phone ko power dene ke liye 4100mAh ki battery di gyi hai.
Camera
Xiaomi Redmi 4X smartphone mein 13 megapixel ka rear camera diya gya hai with f/2.0 aperture, 5P lens, PDAF, LED Flash. Front mein 5-megapixel ka camera hai with a f/2.2 aperture for selfies and video chats.
Features
Iss smartphone mein aapko rear side mein fingerprint scanner diya gya hai. Saath saath 4X mein Infrared sensor bhi present hai. Yeh device Android 6.0 Marshmallow with MIUI 8 par run karta hai. Redmi 4X mein Hybrid SIM slot diya gya hai jiski madad se aap two SIM or one SIM + microSD ko use kar sakte hai.
Full Specifications
- 5.0-inch (720 x 1280 pixels) HD 2.5D curved glass display
- Qualcomm Snapdragon 435 octa core processor
- Adreno 505 GPU
- 2GB/3GB of RAM
- 16GB/32GB of internal storage with microSD card support upto 128GB
- 13 megapixel rear camera with PDAF, 5P lens, LED Flash, f/2.0 aperture
- 5 megapixel front camera, f/2.2 aperture
- Android 6.0 Marshmallow with MIUI 8
- 4100mAh battery
- Fingerprint sensor, Infrared sensor
- Connectivity : Hydrid Dual SIM, 4G VoLTE, Wi-Fi, Bluetooth 4.1, GPS, micro USB
- Dimensions: 139.24 × 69.94 × 8.65 mm
- Weight : 150 grams
- Colors : Gold and Black
Redmi 4X Price in China
Xiaomi Redmi 4X ke 2GB RAM and 16GB storage variant ki China mein price 699 Yuan yaani Rs 6,990 hai. Wahi 3GB RAM and 32GB storage model ki price 899 Yuan (approximately Rs 8,990) hai.
For latest and exclusive tech news, follow us on Facebook and Twitter.
Leave a Reply