Xiaomi ne already apne 20 March ko hone wale launch event ke invites bhej diye hai and company ne product details ko tease karna shuru kar diya hai. Apne recent post mein company ne confirm kar diya hai ki upcoming smartphone Amazon Exclusive hone wala hai.
Contents
Xiaomi Redmi 4A is coming to India
Xiaomi iss launch event mein Redmi 4 series ka smartphone launch karne wala hai. China mein already Redmi 4 and Redmi 4A official ho chuke hai. Company apne teaser image mein baar baar 4 and A ko highlight kar rahi hai jis se lagta hai ki India mein Xiaomi Redmi 4A hi launch kiya jayega.
Xiaomi Redmi 4A Price in India
China mein Xiaomi Redmi 4A ko CNY 499 yaani Rs. 4,900 ke introductory price par launch kiya gya tha. Redmi 4A ki current price CNY 599 yaani Rs. 5,900 ke around hai. Wahi Xiaomi Redmi 4 ki price Rs. 6,900 hai. Saath saath Amazon India par upcoming Xiaomi device ke registration bhi shuru ho gye hai.
Xiaomi Redmi 4A Specifications
Redmi 4A 5-inch ke HD (720×1280 pixels) display ke saath aata hai. Phone mein 1.4GHz quad-core Snapdragon 425 chipset diya hai with 2GB of RAM. Iss mein aapko 16GB ki internal storage milti hai. Saath saath phone ko power dene ke liye 3120mAh ki battery hai.
Camera department ki baat karen toh rear side mein 13 megapixel ka shooter diya gya hai. Selfies ke liye front mein 5 megapixel ka camera present hai. Xiaomi Redmi 4A mein fingerprint scanner nahi diya gya hai.
Xiaomi Redmi 4 and Redmi 4 Prime Specifications
Redmi 4 mein 5-inch ka HD (720×1280 pixels) display diya gya hai. Redmi 4 mein octa-core Qualcomm Snapdragon 430 processor hai. Saath saath aapko 2GB ki RAM aur 16GB ki internal storage milti hai. Back mein 13 megapixel rear camera diya gya hai. And front mein 5 megapixel ka camera hai. Phone mein 4100mAh ki battery di gyi hai. Iss smartphone ki specifications Xiaomi Redmi 3S Prime ke bilkul similar hai.
Wahi Rs. 8,900 ki cost wala hai Xiaomi Redmi 4 Prime 5-inch ke Full-HD (1080×1920 pixels) display ke saath aata hai. Iss mein Redmi Note 4 ke similar 2GHz octa-core Qualcomm Snapdragon 625 SoC diya gya hai. Redmi 4 mein 3GB ki RAM and 32GB ki inbuilt storage hai. Yeh smartphone bhi India mein launch nahi ho sakta hai kyunki same specifications ke saath Xiaomi Redmi Note 4 already market mein available hai.
For latest and exclusive tech news, follow us on Facebook and Twitter.
Leave a Reply