Vivo ne Y series ka latest smartphone Vivo Y53 India mein introduce kar diya hai. Vivo Y53 ki price Rs. 9,990 rakhi gyi hai and isse aap retail stores ke through purchase kar sakte hai.
Vivo Y53 Specifications
Vivo Y53 5-inch ke display ke saath aata hai with resolution of 960 x 540 pixels. Iss smartphone mein 1.4GHz quad-core Qualcomm Snapdragon 425 processor diya hai with 2GB of RAM. Phone mein 16GB ki internal storage milti hai jise aap microSD card ke through 256GB tak expand kar sakte hai.
Camera
Vivo Y53 mein 8 megapixel ka rear camera diya gya hai with f/2.0 aperture and LED Flash. Selfies ke liye front mein aapko 5 megapixel ka camera milta hai jo f/2.2 aperture ke saath aata hai.
Vivo ke mostly phones camera centric hote hai isliye aapko camera mein kaafi saare options diye gye hai jaise ki Normal, Face Beauty, Panorama, HDR, Night, PPT, Pro, Videos, Camera Filter, Voice Capture, Touch Capture, Palm Capture, and Timer.
Features
Vivo ke iss smartphone mein abhi bhi Android 6.0 Marshmallow milta hai with Funtouch OS 3.0. Yeh Dual SIM device hai jis mein aapko 4G VoLTE ka support mil jata hai. Vivo Y53 two color options, Crown Gold and Space Gray mein available hoga.
Full Specifications
Display | 5-inch display with 960 x 540 resolution |
Processor | 1.4GHz quad-core Qualcomm Snapdragon 425 |
RAM | 2GB of RAM |
Internal Storage | 16 GB expandable via microSD card upto 256GB |
Camera | 8 megapixel rear camera with f/2.0 aperture and LED Flash 5 megapixel front camera with f/2.2 aperture |
Battery | 2500mAh |
Operating System | Android 6.0 with FunTouch OS |
Connectivity | 4G LTE, Wi-Fi, GPS, GLONASS, Bluetooth 4.2, microUSB 2.0 |
Dimensions | 144.2 × 71.4 × 7.64 mm |
Weight | 137 grams |
Initial Impressions
Vivo Y53 ko India mein Rs. 9,990 par price kiya gya hai joki thodi jyada hai. Same price segment mein Xiaomi Redmi Note 4 iss se better value for money offer karta hai. Rs. 7000 segment ke smartphone Redmi 3s Prime, Lenovo K6 Power bhi mein Vivo Y53 ko accha competition denge.
For latest and exclusive tech news, follow us on Facebook and Twitter.
Leave a Reply