Swipe ne aaj India mein apna naya smartphone Swipe Elite Power ko launch kar diya hai. Yeh phone exclusively Flipkart par milne wala hai. Elite Power ki price Rs. 6999 rakhi gyi hai lekin phone ke box par Rs. 7499 mention hai. Kal yaani January 31 se aap Swipe Elite Power ko Flipkart se kharid payenge.
Swipe Elite Power Specifications
- 5.5-inch HD (720×1280 pixels) IPS display
- 1.1GHz quad-core Qualcomm Snapdragon 210 (MSM8909) processor
- 2GB of RAM
- 16GB of inbuilt storage, expandable via microSD card (up to 32GB)
- 8 megapixel rear camera with LED flash
- 5 megapixel front camera
- 4000mAh battery
- Android 6.0 Marshmallow
- Features : 4G VoLTE, Hybrid SIM slot (Micro-SIM + Nano-SIM), Fingerprint Scanner
- Dimensions : 156.5 x 77 x 8.8 mm
- Weight : 196 grams
- Color : Space Grey and Gold
My Opinions
Iss phone ki sabse badi kaami hai iska processor. Elite power mein aapko Snapdragon 210 diya gya hai jabki same price par milne wale Redmi 3s mein Snapdragon 430 milta hai. Redmi 3s ki specifications ki baat kare toh yahan par aapko 5 inch HD display, Snapdragon 430, 2GB RAM aur 16GB internal storage, 4100mAh ki battery milti hai. Redmi 3S mein 13 megapixel rear aur 5 megapixel front camera diya gya hai.
Dono hi phones metal body ke saath aate hai aur dono ki price Rs. 6,999 hai. Lekin Redmi 3s aapko better performance dega aur Swipe Elite Power ke comparison mein yeh jyada value for money phone rahega.
Leave a Reply