Samsung ne finally apne MWC 2017 ke event ke invites bhej diye hai. Aur ne Samsung ne already confirm kar diya hai ki iss baar event mein Galaxy S8 launch nahi hoga. Company ne invite mein jo image teased ki hai usse lagta hai ki event mein naya tablet launch hone wala hai. Yeh event Febuary 26 ko Barcelona mein hone wala hai aur isse aap company ki website par live bhi dekh payenge.
Samsung Galaxy Tab S3 leaked specifications
- 9.7-inch display with 2048×1536 pixels resolution
- Snapdragon 820 processor
- 4GB of RAM
- Android Nougat out-of-the-box
- 12 megapixel rear camera
- WiFi only and LTE models
Rumors ke according Galaxy Tab S3 ki thickness sirf 5.6mm hone wali hai. Pricing ki baat kare toh Samsung Galaxy Tab S3 ko around $600 (roughly Rs. 41,000) par launch kiya ja sakta hai South Korea mein.
Galaxy S8 teaser video
Korean media reports ke according Samsung press conference mein one minute ki video dikhane wala hai jismein Galaxy S8 ko tease kiya jayega. Lagta hai ki company apne aane wale flagship ki hype ko banaye rakhna chahti hai. Rumors ke according Galaxy S8 ko March 29 ko launch kiya ja sakta hai.
Leave a Reply