Samsung ne Galaxy S8 smartphone ke liye kamar kass li hai. Aur yeh phone apne past ke models se kaafi different hone wala hai. Because pheli baar iss phone mein traditional home button aur navigation keys nahi hone wali hai. Saath saath phone ka display size Galaxy Note se bhi bada hone wala hai. Recently famous leakster Evan blass ne Galaxy S8 ki real image leak ki hai.
Samsung Galaxy S8 Specifications
Venture Beat ki report ke according company two screen sizes (5.8- and 6.2-inches) ko plan kar rahi hai S8 ke liye. Phone ka display size Note 7 ke 5.7-inch display se bhi bada hone wala hai. Aur yeh unconventional aspect ratio of 18.5:9 ke saath aane wala hai.
- 5.8-inch or 6.2-inch QHD AMOLED display
- Snapdragon 835 or Samsung Exynos (varies by market)
- 12-megapixel rear camera with f/1.7
- 8-megapixel front facing camera with f/1.7
- 4GB of RAM
- 64GB internal storage with microSD expansion
- Battery : 3000mAh (5.8-inch model) or 3500mAh (6.2-inch model)
- Other : Headphone jack, USB Type-C, water resistance, Fingerprint scanner on back
Samsung yahan par Windows Continuum jaise feature ko bhi plan kar rha hai jisse Galaxy S8 desktop PC-like functionality dega. Aur phone mein aapko dedicated button milega Samsung personal assistant Bixby ko activate karne ke liye. Reports ke according Bixby apne competitor Google Assistant aur Siri se kaafi advance hone wali hai. Camera department mein major changes nahi hone wale hai. But ismein iris scanner ki functionlaity aa sakti hai.
Launch Date and Expected Pricing
Samsung Galaxy S8 ko March 29 ko New York City mein launch kiya jayega. Europe mein Galaxy S8 ke 5.8-inch model ki price €799 yaani Rs. 58000 ke aas pass hogi aur 6.2-inch model ki kimat €899 yaani Rs. 65000 hogi. Dono phones April 21 se sale par jayenge.
WrapUp
Samsung iss baar apne traditional design se aage badh rha hai. Yeh phone Xiaomi ke Mi MIX ki tarah bezel less aane wala hai. Phele rumors the ki phone mein optical fingerprint scanner milega jo display mein embedded hoga. Lekin actual mein isse back par camera ke nazdik diya gya hai. Reports ke camera department mein bhi kuch khaas improvement nahi hai.
(source)
Leave a Reply