Samsung already Galaxy J 2017 Series smartphones par work kar rha hai. Recently Samsung Galaxy J7 2017 ke three different variants ko GFXbench par spot kiya gya hai. Benchmarking website par Galaxy J7 2017 ko SM-S727VL, SM-J727A and SM-J727P model numbers ke saath list kiya gya hai.
Samsung Galaxy J7 2017 Specifications
According to GFXbench listing, Samsung Galaxy J7 2017 (SM-S727VL) 5.5-inch HD Display ke saath aane wala hai. Iss variant mein 1.4GHz quad-core Snapdragon processor hone wala hai. SM-S727VL model mein 2GB RAM and 16GB of internal storage di gyi hai. Iss mein 8 megapixel ka rear camera and 5 megapixel ka front facing camera diya gya hai. Yeh device Android 6.0 Marshmallow ke saath spot kiya gya hai.
Samsung Galaxy J7 2017 (SM-J727A) model mein bhi 5.5-inch HD Display hone wala hai. But iss mein 1.5GHz Samsung Exynos 7870 processor diya gya hai. Yeh device 2GB RAM and 16GB of internal storage ke saath aane wala hai. Aapko Galaxy J7 2017 mein 8 megapixel rear camera and 5 megapixel ka front facing camera milne wala hai. Iss model mein Android 7.0 Nougat diya gya hai.
Leave a Reply