Reliance Jio ne already apne free 4G data offers ke saath market mein dhamaal macha rakha hai. Leaks ke according, company apni broadband services aur Jio DTH (Direct to Home) services ko jaldi launch karne wali hai.
Recently Gizmo Times ne ek image leak ki hai Jio ke round set-top box ki jo Jio fiber yaa dish se connect hoga. Leaked picture mein remote control mein Mic button dikh raha hai jisse lagta hai ki yeh voice-activated features ke saath aane wala hai. Saath saath yeh Set Top Box (STB) round shape mein aata hai, unlike normal rectangular shaped STBs.
Set top box ke piche ki side mein S/PDIF port, ethernet port, HDMI port, aur USB port diye gye hai. Rumors ke according, Reliance apni DTH services ko March or April 2017 mein officially launch kar sakta hai. Aur JioFiber broadband services bhi same time par official ho sakti hai. Filhaal JioFiber broadband couple of cities mein test offers ke saath available hai.
Leave a Reply