Currently, India mein mobile number 9, 8, or 7 se shuru hote hai. However, ab aap jaldi hi aap 6 series se start hone wale mobile numbers dekhenge.
Reliance Jio, jisne apni free 4G services se telecom sector mein tahalka maccha rakha hai woh ab 6-series ke mobiles numbers lekar aa rha hai. Recently, Department of Telecom (DoT) ne telecom company ko new 6-series ke MSC codes allot kiye hai.
DoT ne Reliance Jio ko 60010-60019 MSC codes in Rajasthan, 60020-60029 MSC codes in Assam and 60030-60039 codes Tamil Nadu mein issue kiye hai. Jio ki free data and voice offers ke saath damaakedar entry ke baad large number of subscribers add huye hai. Users ke numbers mein increase ke chalte 9, 8 and 7 series jaldi hi exhaust hone wali hai.
Also Read : RELIANCE JIO DTH SET TOP BOX IMAGE LEAKED
Department tabhi operators ko new MSC codes assign karta hai jab woh licensed service area mein one million se jyada ka subscriber base manage kar rahe ho. Hence, new 6-series ke allocation se lagta hai ki above mentioned regions mein Jio ke million subscribers ho gye hai.
For latest and exclusive tech news, follow us on Facebook and Twitter.
(via)
Leave a Reply