Nokia ka latest smartphone Nokia 6 finally India mein available ho gya hai. But yeh phone currently third-party online retailer ke through available hai. But HMD Global ne abhi tak iss phone India mein officially announce nahi kiya hai.
The Nokia 6 ko aap eBay India se purchase kar sakte hai at a premium price of Rs. 32,440. Saath saath yeh smartphone abhi order karne par 25 days ke baad India mein deliver hoga.
HMD Global ne last month Nokia 6 smartphone China mein launch kiya tha at CNY 1,699 (roughly Rs. 17,000). Till now yeh phone China exclusive hai. Recently, Philippines mein bhi Nokia 6 third party online retailer ke though available hua tha.
Also Read : HMD GLOBAL TO LAUNCH NOKIA 3, NOKIA 5, NOKIA 6 AND REFRESHED NOKIA 3310 AT MWC 2017
Upcoming MWC 2017 mein HMD Global naye smartphones announce karne wala hai. Recent leaks according, company MWC mein iss smartphone ka global variant launch kar sakti hai.
Nokia 6 Specifications
To recall, the new Nokia 6 smartphone 5.5-inch full HD (1080×1920 pixels) 2.5D curved display ke saath aata hai. Screen protection ke liye iss phone mein Corning Gorilla Glass 3 diya gya hai. Iss phone octa-core Qualcomm Snapdragon 430 processor diya gya hai with 4GB of RAM. Nokia 6 mein aapko 64GB ki internal storage milti hai jise aap microSD card ke through 128GB tak expand kar sakte hai.
Iss mein 16 megapixel ka rear camera diya gya hai with dual LED flash. And for selfies, 8 megapixel front facing camera. Saath saath yeh smartphone Dolby Atmos ke support ke saath aata hai.
Also Read : NOKIA 3 : FULL SPECIFICATIONS, PRICE IN INDIA, RELEASE DATE AND MORE
Yeh dual-SIM wala phone Android 7.0 Nougat par run karta hai. Front mein home button ke andar Fingerprint scanner ko embed karke diya gya hai. Yeh phone 3000mAh ki battery ke saath aata hai.
For latest and exclusive tech news, follow us on Facebook and Twitter.
Leave a Reply