Recent leak ke according HMD Global MWC 2017 mein four new smartphones launch karne wala hai. As per leak, company Nokia 3, Nokia 5 and Nokia 6 and refreshed Nokia 3310 ko launch karne wali hai.
But earlier leak mein Nokia 3 ki specifications ki details pata chal payi thi. Lekin ab ek aur leak nikal kar aaya hai jismein Nokia 3 ki full specifications, price and release date ke baare mein pata hai.
Nokia 3 Specifications
According to NPU, Nokia 3 mein Qualcomm Snapdragon 425 processor aane wala hai. Yeh smartphone 5.2 or 5.3 inch ke HD display ke saath aa sakta hai. Iss phone mein 2GB ki RAM and 16GB ki internal storage di gyi hai.
Nokia 3 mein 13 megapixel ka rear camera diya gya hai. And selfies ke liye front mein 5 megapixel ka camera hone wala hai.
- 5.2 / 5.3-inch 720p HD display
- 1.4 GHz Quad-Core Snapdragon 425 Processor
- Adreno 308 GPU
- 2 GB of RAM
- 16 GB of internal storage
- Android Nougat 7.0
- 13 megapixel rear camera
- 5 megapixel front camera
Also Read : Nokia 5 officially launched at MWC 2017 : Price in India and More
Nokia 3 Price and Availability
Nokia 3 ek entry level Android smartphone hone wala hai and iski price 149 euro ke shuru hogi. India mein iski price Rs. 10,500 ke around hone wali hai. Yeh smartphone February 26 ko MWC 2017 mein launch kiya jayega. But Nokia 3 market mein March-April available hoga.
Also Read : HMD Global launched Nokia 6 international variant at MWC 2017
For latest and exclusive tech news, follow us on Facebook and Twitter.
Leave a Reply