Moto Z ek modular smartphone tha Motorola ki taraf se jo Moto Mods ke saath kaam karta tha. Ab iske next version ko GeekBench par list hua hai jisse iski key specification ke baare mein jaankaari mili hai. Yeh device “motorola XT1650” model ke naam se list huya hai. Yeh model number Moto Z (2017) ka ho sakta hai.
Moto Z (2017) Leaked Specifications
GeekBench ki listing ke according iss mein MSM8998 yaani Snapdragon 835 diya gya hai. Chances hai ki yeh Motorola ka iss saal ka flagship device hone wala hai. Iss smartphone mein latest Android 7.1.1 Nougat diya gya hai.
Moto ne iss phone mein 4GB ki RAM di hai. Lagta hai ki Motorola abhi bhi 6GB RAM par upgrade karna nahi chahta hai. Yeh bhi ho sakta hai ki final product mein aapko 6GB ki RAM mil jaye.
GeekBench Test Score
Moto Z (2017) ke single aur multi core ke score kaafi impressive hai. Single core test mein iss ne 1930 points score kiye hai. Aur wahi 6207 points score kiye hai multi-core test mein.
Expected Launch
Abhi tak Moto Z (2017) ki actual launch date ke baare mein kuch bhi information nahi hai. Last year ke model ko Motorola ne September mein launch kiya tha. Umeed hai ki iss saal bhi yeh phone 2017 ke second half mein hi aayega.
Nice article 🙂