Lenovo ne apni G series ka next smartphone Motorola Moto G5 Plus India mein launch kar diya hai. Moto G5 Plus ki India mein price Rs. 16,999 rakhi gyi hai jabki international market mein iski price Rs. 19,999 hai.
Moto G5 Plus iss baar metal build ke saath aata hai. Iss baar bhi phone ki main USP ultimate camera performance hai. Last year smartphone G4 Plus bhi excellent camera ke liye famous tha and till now usse koi beat nahi kar paya.
Contents
Moto G5 Plus Specifications
Moto G5 Plus 5.2 inch Full HD display ke saath aata hai. Screen ki protection ke liye company ne Corning Gorilla Glass 3 use kiya hai. Phone mein iss baar Snapdragon 625 processor diya hai. Motorola ne G4 Plus mein Snapdragon 617 chipset milta tha.
G5 Plus aapko 3GB RAM and 4GB RAM variant mein milega. Iss phone mein 16GB/32GB internal storage di gyi hai. Phone ke power dene ke liye 3000mAh ki battery di gyi hai jo Turbo charging ko support karti hai. Saath mein 15W ka Turbo Charger bhi diya gya hai.
Camera
Moto G5 Plus mein rear side mein 12 megapixel ka f/1.7 aperture wala Sony IMX362 camera sensor diya hai jo 4K video recording karne mein capable hai. Saath saath rear side mein dual-tone LED flash, Dual-Pixel Autofocus system diya gya hai.
Selfies ke liye front mein 5 megapixel ka OmniVision OV5695 camera sensor diya hai jo f/2.2 aperture ke saath aata hai. Ab dekhna hoga ki Moto G5 Plus ka camera testing mein kaisa perform karta hai.
Features
Iss smartphone mein Android 7.0 Nougat out-of-the-box milega with stock UI. G5 Plus mein Water and dust resistance ke liye nano coating di gyi hai. Fingerprint sensor ko home button mein embed kiya gya hai. Front side mein Single front ported speaker diya gya hai jo loudspeaker and earpiece ka work karta hai.
Full Specifications
- 5.2-inch (1920 x 1080 pixels) Full HD display
- 2GHz Octa-Core Snapdragon 625 processor
- Adreno 506 GPU
- 3GB/4GB of RAM
- 16GB/32GB of internal storage, expandable via microSD card
- 12 megapixel rear camera
- 5 megapixel front facing camera
- 3000mAh battery with Turbocharging
- Android 7.0 Nougat
- Connectivity : Dual SIM, 4G VoLTE, WiFi, Bluetooth 4.2, GPS, NFC
- Dimensions : 150.2 x 74 x 7.9 mm
- Weight :155 grams
Moto G5 Plus Price and Availability
G5 Plus ke 3GB RAM variant ki price Rs. 14,999 rakhi gyi hai. Wahi 4GB RAM variant aapko Rs. 16,999 ka milega.
Moto G5 Plus ko aap kal yaani March 16 se exclusively Flipkart se purchase kar payenge. G5 Plus Lunar Gray and Fine Gold color options mein available hoga.
Flipkart Moto G5 Plus ke saath “BuyBack Guarantee” bhi offer kar raha hai jiske under aap Rs. 7,000 ke fixed price par phone ko exchange kar sakte hai.
My Opinions
Moto G5 Plus filhaal toh kaafi impressive lag raha hai. Saath saath Lenovo ne India mein iss phone ki price international market se kaafi kamm rakhi hai. Pichle saal launch huye Moto G4 Plus mein kaafi quality controls issues the eg. screen burn, overheating. Ab phone ki testing mein dekhna hoga ki iss baar phone mein kitna improvement kiya gya hai.
Moto G5 Plus Competition
G5 Plus ka main competition Xiaomi Redmi Note 4 se hone wala hai. Issi price segment mein Coolpad Cool 1, Huawei Honor 6X bhi decent camera performance ke saath aate hai. Xiaomi Redmi Note 4 ke 4GB RAM model ki price Rs. 12,999 hai. Ab dekhna hoga ki kya Moto G5 Plus Redmi Note 4 ko beat kar payega ???
For latest and exclusive tech news, follow us on Facebook and Twitter.
Leave a Reply