Motorola ne ab officially confirm kar giya hai ki Moto E3 Power ko Android 7.0 Nougat update nahi milega. Yaani E3 Power Android 6.0 Marshmallow par hi rahega.
Moto E3 Power ko September 2016 mein launch kiya gya tha. E3 Power 2 GB RAM and 3,500mAh battery ke saath aata hai. Yeh Motorola ka phela phone tha jo MediaTek ke processor ke saath launch hua tha. Iss mein quad core MT6735P chipset 2GB RAM ke saath diya gya hai.
Also Read : MOTO G5 SPECIFICATIONS LEAKED, MAY COME WITH SNAPDRAGON 430 CHIPSET
Motorola ne phone ki sale ke phele din 100,000 units India mein beche the. Yeh move definitely E3 Power users ko disappoint karne wala hai. Motorola ne Software product page par mention kar diya hai ki E3 Power ko Nougat ka update nahi milega.
Ab bhagwaan hi jaane ki yeh MediaTek processor dene ke kaaran hua hai yaa Lenovo ke acquisition ki wajah se. Aapka kya opinion hai Motorola ke iss move par ??? Comment karo niche!
Share this article on Facebook, Twitter and WhatsApp.
(source)
Leave a Reply