Meizu ne China mein February 15 ko event rakha hai jis mein naya smartphone launch kiya jayega. Company ne already media ko invites bhej diye hai jismein charger ki picture dikhayi gyi hai jo fast charging technology show karti hai. Reports ke according yeh smartphone Meizu M5s hone wala hai jo ‘mCharge’ technology ke saath aayega.
The Meizu M5s already TENAA se certification le chuka hai aur isse benchmarking websites par bhi spot kiya ja chuka hai. Recently phone ki retail packaging ki image bhi huyi thi jisne Meizu M5s ki specifications aur pricing ko reveal kar diya.
Also Read : MEIZU M5 WITH 4G VOLTE SUPPORT TO LAUNCH SOON IN INDIA : EXPECTED PRICE, SPECIFICATIONS AND MORE
Leaked image ke according, the M5s 3GB of RAM and 32GB of internal storage ke saath aayega. Aur Meizu M5s ki price $145 USD yaani Rs 9,800 hogi.
Recently phone ki aur bhi images leak huyi hai jismein phone ke charger baare mein pata chala hai. As earlier mentioned Meizu iss mein fast charging dene wala hai but yeh Quick Charge Technology 1.0 par based hone wali hai. Yaani charger ka output 5V, 2A hai jo 10W ki maximum charging power provide karega.
Meizu M5s specifications
- 5.2-inch HD IPS display
- 1GHz octo-core Qualcomm Snapdragon processor
- 2GB, 3GB and 4GB RAM variants
- 16GB, 32GB and 64GB storage variants
- 13 megapixel rear camera
- 5 megapixel selfie camera
- 2,930mAh battery with mCharge technology
- Android 6.0 Marshmallow
- Fingerprint Scanner, USB Type-C
- 4G VoLTE support
- Colors : Silver Grey, Gold and Rose Gold
Update
Phone mein actual 18W based fast charging nahi aane wali hai. Baalki aapko Quick Charge 1.0 based normal 5V, 2A wala charger milega. Aur Meizu M5s mein Snapdragon ke processor ki jagah par 1.3GHz MediaTek MT6753 octa-core processor hoga. Saath saath mein phone ki price 1299 Yuan yaani Rs. 12,990 hone wali hai.
(source)
Leave a Reply