Lenovo Tab3 8 Plus ko MWC 2017 mein launch karne wala hai. Yeh budget segment ka tablet Tab3 8 ka upgraded version hone wala hai. Phele iss tablet ko benchmarking website par spot kiya gya tha. Ab ek Italian publication ne iski full specifications aur official press renders ko leak kiya hai.
Tab3 8 Plus IP52 certification yaani dust aur water protection ke saath aane wala hai. Yeh tablet two color options blue and silver mein available hoga.
Lenovo Tab3 8 Plus specifications
- 8-inch full HD (1920×1200 pixels) display
- Qualcomm Snapdragon 652 chipset
- 3GB of RAM
- 16/32/64GB of internal storage, expandable up to 128GB via microSD card.
- 8 megapixel rear camera with LED flash
- 5 megapixel selfie camera
- 4,250mAh battery
- Android 6.0.1 Marshmallow
- Dolby Atmos stereo speakers
- Dimensions : 209.5 × 123.5 × 8.6 mm
- Weight : 320 grams
Lenovo yahan par two variants launch kar sakta hai Tab3 8 Plus ke. Ek variant with model number TB-8703F sirf WiFi connectivity ke saath aayega. Wahi dusra variant with model number TB-8703X both Wi-Fi and 4G LTE connectivity ke saath aayega.
Iske purane variant Tab3 8 mein MediaTek quad-core processor, 8 inch display, 1GB RAM aur 16GB ki internal storage di gyi hai. Tab3 8 ko price of $99 (Rs 6,800 approx.) for the Wi-Fi variant aur LTE variant ko $149 (Rs 10,200 approx.) par launch kiya gya tha.
(via)
Leave a Reply