Huawei apne next generation smartphone Huawei P10 ko MWC 2017 mein launch karne ja raha hai. Yeh smartphone Huawei P9 ka successor hone wala hai. Recent leak ke according yeh smartphone black, gold and pink color ke alwa green and purple color variants mein bhi aa sakta hai.
Iss leaked image se pata chala hai ki P10 mein high-end audio system from Yamaha and Harman Kardon diya gya hai. Leaked image mein dono companies ke logos aur names ko spot kiya gya hai. Rumors yeh bhi hai ki iss smartphone ka ek aur variant P10 Plus ke naam se aa sakta hai. Lekin kuch reports ka kehna hai ki Plus variant ko saal ke aakhir mein launch kiya jayega. Dono hi smartphones Amazon ke voice assistant Alexa ke saath aa sakte hai. Aur yeh dono Google Daydream VR ready bhi honge.
Huawei P10 leaked specifications
5.5-inch dual-curved edge display with Quad HD resolution
Kirin 960 chipset paired with
4GB/6GB of RAM
Dual camera setup powered by LEICA
Wireless charging support
Android 7.0 Nougat out-of-the-box
Agar iski specifications ko Huawei P9 se compare kare toh P9 mein aapko 5.2-inch full HD display, Kirin 955 64-bit octa-core processor, 3GB RAM aur 32GB ki internal storage milti hai. Saath saath 3,000mAh battery with fast charging support aur USB Type-C port diya gya hai.
(via)
Leave a Reply