BlackBerry ka naya android based smartphone Mercury (codename) jaldi hi market mein aane wala hai. Iss phone mein aapko physical keyboard aur touchscreen display milta hai. CES 2017 ke event mein company ne kuch logon ko phone dikhaya tha. Lekin officially launch isse ab MWC 2017 mein kiya jayega.
Ab Blackberry Mercury ke camera ko lekar leak saamne aaya hai. Leakster Roland Quandt (@rquandt) ke according, Mercury mein Google Pixel mein diya gya Sony IMX378 camera sensor use kiya gya hai.
Pixel and Pixel XL mein 12.3 megapixel Sony IMX378 rear camera diya gya hai with f/2.0. Aur Google ka yeh phone one of the best camera wala smartphone hai.
Roland ke according, Blackberry ke iss phone mein 8 megapixel ka front camera aayega jo Samsung S5K4H8 yaa fir OmniVision OV8856 sensor ke saath aa sakta hai.
Also Read : HUAWEI P10 LEAKED IN GREEN AND PURPLE COLOR VARIANTS BEFORE OFFICIAL LAUNCH AT MWC 2017
Lekin camera sensor same hone se picture same quality ki nahi aati. Pixel mein aapko camera aur software ko jabardast optimization milta hai. Ab dekhna hoga ki Blackberry kaisa optimization kar pata hai.
Blackberry Mercury rumored specifications
- 4.5-inch display with a 1080 x 1680 resolution
- Snapdragon 821 chipset
- 4GB of RAM
- 32GB of storage
- 3400mAh battery
- Android 7.0 out of the box
Filhaal TLC company ke paas Blackberry brand ke rights hai aur TLC ne hi iss phone ko banaya hai. Pichle kaafi time se Blackberry market mein fail rahi hai. Ab dekhna hoga ki iss baar company kuch kamaal kar pati hai yaa nahi.
(source)
Leave a Reply