Aaj hum aapke liye lekar aaye hai 5 Best Laptop under 40000 in India January 2017. Iss list mein humne budget laptops ko include kiya hai.
1. Lenovo G50-80
Lenovo G50-80 iss budget segment mein sabsa laptop hai. Ismein aapko 8GB ki RAM milti hai jo aapke heavy tasks ko easily manage kar leti hai. Lenovo ke iss laptop mein 2GB ka dedicated graphics unit diya gya hai. Agar aap video editing ya gaming karte hai toh yeh aapke liye best option ho sakta hai iss budget mein.
Main Specifications :
- 2.2 GHz Intel Core i5-5200U Processor ( 5th Gen )
- 8 GB DDR3 RAM
- DOS Operating System
- 1 TB Hard drive
- 15.6 inch HD Display
- 2 GB Dedicated AMD Radeon R5 M330 Graphics
2. Dell Inspiron 5559
Dell Inspiron 5559 aapke day to day usage ke liye kaafi accha rahega. Iss mein aapko Intel i3 ka 6th generation processor milta hai. Saath saath ismein 4GB ki RAM aur Windows 10 di gyi hai. Inspiron 5559 mein aapko dedicated graphics nahi milta hai. Inspiron 5559 ka online Rs. 36,450 hai.
Main Specifications :
- 2.3 GHz Intel Core i3-6100U Processor (6th Gen)
- 4 GB DDR3 RAM
- Windows 10 Operating Sytem
- 1 TB Hard drive
- 15.6 inch HD display
- Intel HD Graphics 520
3. Lenovo Yoga 500
Agar aapko iss range mein touchscreen aur 360 degree rotatable wala laptop chahiye toh Lenovo Yoga 500 best option ho sakta hai. Yeh laptop 14 inch ke Full HD touchscreen display aur 360 degree rotatable hinge ke saath aata hai. Lenovo Yoga 500 aapko Rs. 39,990 ka padega.
Main Specifications :
- 2.0 GHz Intel Core i3-5005U processor (5th Gen)
- 4GB DDR3 RAM
- Windows 10 Operating System
- 1 TB Hard drive
- 14 inch Full HD display
- Intel HD Graphics Processor
4. HP 15-AY019TU
Normal user aur jine simple laptop chahiye woh HP 15-AY019TU ko consider kar sakte hai. Iss mein aapko Intel i3 ka 5th generation processor diya gya hai. HP 15-AY019TU mein aapko 4GB ki RAM aur 1 TB ki hard disk di gyi hai. Yeh DOS operating system ke saath aata hai. FIlhaal iski price Rs. 27,490 hai.
Main Specifications :
- 2.0 GHz Intel Core i3-5005U Processor ( 5th Gen )
- 4 GB DDR3 RAM
- DOS Operating System
- 1 TB Hard drive
- 15.6 inch HD Display
- Intel HD Graphics 5500
5. Lenovo Ideapad 110
Agar aapka budget kaafi tight hai aur aapko everyday usage ke liye laptop lena hai toh Lenovo IdeaPad 110 ko aap consider kar sakte hai. Iss mein aapko high end task toh perform nahi kar sakte lekin daily usage mein yeh kaafi badiya hai. Ideapad 110 ki kimat Rs. 22,990 hai.
Main Specifications :
- 2.0 GHz (2.4 GHz with Turbo boost) AMD APU Quad Core A6-7310 processor
- 4 GB DDR3 RAM
- Windows 10 Operating System
- 500 GB Hard drive
- 15.6 inch HD display
- AMD Radeon R4 Graphics
Yeh laptops the hamari taraf se Best laptop under 40000 ki category mein. Stay tuned to Verratic.com
Leave a Reply